is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

saval 16

aap chintaon ka saamna kaise kar sakte hain?

“apna saara bojh yahova par daal de, woh tujhe sambhaalega. woh nek jan ko kabhi girne nahin dega.”

bhajan 55:22

“mehantee ki yojnayen zaroor safal hongi, lekin jaldbazee karnevale par gareebi chhaa jaayegi.”

neetivachan 21:5

“dar mat kyonki main tere saath hoon, ghabra mat kyonki main tera parmeshvar hoon. main teri himmat bandhaunga, teri madad karoonga, neki ke daayen haath se tujhe sambhaale rahoonga.”

yashayah 41:10

“tummein aisa kaun hai jo chinta karke ek pal ke liye bhi apni zindagi badha sake?”

matti 6:27

“isliye agle din ki chinta kabhi na karna kyonki agle din ki apni hi chintayen hongi. aaj ke liye aaj ki pareshaniyaan kaafi hain.”

matti 6:34

‘pehchano ki zyada ahmiyat rakhnevali baatein kya hain.’

filippiyon 1:10

“kisi bhi baat ko lekar chinta mat karo, magar har baat ke baare mein prarthna aur minnaton aur dhanyavad ke saath parmeshvar se bintiyaan karo. tab parmeshvar ki woh shaanti jo samajh se pare hai, maseeh yeeshu ke zariye tumhare dil ki aur tumhare dimag ke sochne ki taakat ki hifazat karegi.”

filippiyon 4:6, 7