is jaankari ko chhod dein

pavitra shastra garbhpat ke baare mein kya batata hai?

pavitra shastra garbhpat ke baare mein kya batata hai?

shastra se javab

bible mein shabd “garbhpat” ka istemal nahin hua hai, lekin ismein aisi kai aaytein hain jinse pata chalta hai ki parmeshvar insanon ki jaan, yahaan tak ki garbh mein pal rahe ajanme bachche ki jaan ko kis nazar se dekhta hai.

jeevan parmeshvar ki taraf se ek tohfa hai. (utpatti 9:6; bhajan 36:9) woh sabke jeevan ko anmol samajhta hai, yahaan tak ki garbh mein pal rahe bachche ke jeevan ko bhi. isliye agar koi jaanboojhkar ek ajanme bachche ki jaan leta hai to yah hatya karne ke barabar hai.

parmeshvar ne israeliyon ko yah niyam diya tha: “agar do aadmiyon ke beech haathapai ho jaati hai aur woh ladte-ladte kisi garbhvati aurat ko ghaayal kar dete hain aur samay se pehle uska bachcha ho jaata hai, magar maa aur bachche ki jaan bach jaati hai, to gunahgar ko nuksan ki bharpai karni hogi. us aurat ka pati maang karega ki kitni bharpai ki jaaye aur fir nyayi jo faisla kareinge, uske mutabik gunahgar ko bharpai karni hogi. lekin agar maa ya bachche ki maut ho jaati hai, to uski jaan ke badle gunahgar ki jaan li jaaye.”​—nirgaman 21:22, 23. *

 insan ke jeevan ki shurooat kab hoti hai?

parmeshvar ki nazar mein jeevan ki shurooat tab hoti hai, jab bachcha maa ke garbh mein ek bhroon ke roop mein hota hai. parmeshvar ek ajanme bachche ko ek alag jaan samajhta hai aur yah baat bible ki kai aayton mein darz hai. aaiye kuch par gaur karein jinse saaf ho jaata hai ki parmeshvar garbh mein pal rahe bachche ki jaan mein aur ek janm le chuke bachche ki jaan mein koi fark nahin karta.

  • pavitra shakti se ubhare jaakar raja daavid ne parmeshvar se kaha: “teri aankhon ne mujhe tabhi dekha tha jab main bas ek bhroon tha.” (bhajan 139:16) haalaanki daavid apni maa ki kokh mein ek bhroon tha, lekin parmeshvar ki nazar mein woh ek asal shakhs tha.

  • iske alava, parmeshvar ne bhavishyavakta yirmayah ke paida hone se pehle hi uske liye ek khaas maksad thahra diya tha. parmeshvar ne usse kaha, “main tujhe garbh mein rachne se pehle hi jaanta tha, tere paida hone se pehle hi mainne tujhe pavitra thehraya tha, mainne tujhe raashtron ke liye ek bhavishyavakta thehraya hai.”​—yirmayah 1:5.

  • bible ke lekhak luka ne, jo ek vaid tha, ajanme bachche aur navjat bachche ke liye ek hi yoonani shabd ka istemal kiya.​—luka 1:41; 2:12, 16.

 kya parmeshvar us insan ko maaf karega jisne garbhpat karvaya hai?

jin logon ne garbhpat karvaya hai, woh parmeshvar se maafi paa sakte hain. lekin ho sakta hai ki kuch logon ka man ab bhi unhein kachot raha hai. lekin agar unhonne jeevan ke baare mein parmeshvar ka nazriya apna liya hai, to woh yakeen rakh sakte hain ki parmeshvar unhein maaf karega. bible batati hai, ‘yahova dayalu aur karuna se bhara hai. poorab pashchim se jitna door hai, usne hamare apradhon ko hamse utna hi door feink diya hai.’ * (bhajan 103:8-12) yahova un sabko maaf kar dega jo sachche dil se apne paapon ka pashchatap karte hain, unhein bhi jinhonne garbhpat karvaya tha.​—bhajan 86:5.

 agar maa ya bachche ki jaan ko khatra ho, kya tab bhi garbhpat karvana galat hai?

jaisa bible mein bataya gaya hai, parmeshvar ajanme bachche ke jeevan ko anmol samajhta hai. isliye garbhpat karvana tab bhi jaayaz nahin hoga jab aisa lage ki maa ya bachche ki jaan ko khatra hai.

lekin agar aisi naubat aa jaaye ki maa aur bachche mein se ek hi bach sakta hai, to kya karna sahi hoga? aise mein ek parivar ko khud faisla karna hoga ki kise bachayen.

^ para. 3 kuch baaibalon mein in aayton ka is tarah anuvad kiya gaya hai taaki aisa lage ki maa ki jaan zyada kimti hai na ki bachche ki. lekin ibrani bhasha ke mool paath mein ye aaytein jis tarah likhi gayi hain, usse pata chalta hai ki yahaan maa aur bachche donon ki jaan ki baat ki gayi hai.

^ para. 8 bible ke mutabik parmeshvar ka naam yahova hai.​—bhajan 83:18.