is jaankari ko chhod dein

kya parmeshvar vajood mein hai?

kya parmeshvar vajood mein hai?

shastra se javab

haan. bible mein hamein thos saboot milte hain ki parmeshvar vajood mein hai. yah hamein aankh moondkar kisi bhi dhaarmik dhaarna ko maanna nahin sikhati. iske bajay yah hamein apni “sochne-samajhne ki shakti” aur “dimagi kaabileeyat” ka istemal karke parmeshvar par vishvas karne ka badhava deti hai. (romiyon 12:1; 1 yuhanna 5:20) aaiye, bible mein diye kuch sabooton par gaur karein:

  • vishva-mandal mein sabkuch apni jagah par hai, usmein koi-bhi grah-taare aapas mein nahin takrate. iske alava prithvi is maayne mein anokhi hai ki ismein alag-alag kism ke prani hain. yah saari baatein ek hi taraf ishara karti hain ki koi bananevala hai. bible mein likha hai: “kyonki har ek ghar ka koi na koi bananevala hota hai, par jis ne sab kuch banaya woh parmeshvar hai.” (ibraniyon 3:4) haalaanki yah tark ekdam saral hai, lekin bahot-se padhe-likhe log bible ke is tark ko kaafi asardar maante hain. *

  • insan hone ke naate hum sab mein jeevan ka maksad jaanne ki ek paidaishi ichha ya bhookh hai. yah ek aisi bhookh hai, jo khaane se nahin mitti. bible ise parmeshvar se ‘maargdarshan paane ki bhookh’ kehti hai. jis vajah se hammein paidaish se parmeshvar ko jaanne aur uski upasna karni ki ichha hoti hai. (matti 5:3; prakashitvakya 4:11) is tarah ki bhookh keval yah saabit nahin karti ki parmeshvar vajood mein hai, balki yah bhi ki woh ek pyar karnevala srishtikarta hai, jo hamara maargdarshan karna chahta hai.—matti 4:4.

  • bible mein bahot-si bhavishyavaniyaan sadiyon pehle darz ki gayi thi, jo theek usi tarah poori huin jaisi likhi gayi thi. jis tarah se ye bhavishyavaniyaan ekdam sateek tareeke se poori hui hain, usse saabit hota hai ki inke peechhe kisi aisi shakti ka haath hai jo insanon se pare hai.—2 patras 1:21.

  • bible ke lekhkon ko apne samay mein rehnevale logon se vigyan ki zyada jaankari thi. misal ke liye, us zamane mein bahot-se logon ka maanna tha ki prithvi kisi haathi, sooar ya bail par tiki hui hai. iske bajay, bible mein likha hai ki parmeshvar “bina tek prithvi ko latkaye rakhta hai.” (ayyoob 26:7) usi tarah, bible uske aakar ke baare mein bhi sahi jaankari deti hai ki woh gol ya “chakra” hai. (yashayah 40:22, easy-to-read version.) bahot-se logon ko lagta hai ki bible lekhkon ne yah jaankari apne-aap nahin di, balki parmeshvar ne unhein bataya.

  • bible bahot-se mushkil savalon ke javab deti hai. aise savalon ka bhi, jinka javab na milne par shaayad ek vyakti parmeshvar ke vajood ko maanna chhod de. misal ke liye: agar parmeshvar pyar karnevala aur shaktishali hai, to aaj duniya mein itni takleefein aur burai kyon hain? aisa kyon hai ki aaj log dharm ke naam par achhe kaam karne ke bajay bure kaam karte hain?—titus 1:16.

^ para. 2 misal ke liye, khagol-vaigyanik ailan saindej ne vishva-mandal ke baare mein kaha: “mujhe yah kaafi had tak naamumkin lagta hai ki [vishvamandal mein] aisa badhiya taalmel kisi gadbadi se shuroo hua tha. is taalmel ke peechhe zaroor koi-na-koi niyam ya siddhaant hai. parmeshvar mere liye ek paheli hai, magar saari cheezon ka vajood mein hona apne-aap mein ek chamatkar hai aur is chamatkar ko saabit karne ke liye hamein parmeshvar ka sahara lena padega. kyonki agar woh nahin hai, to saari cheezen kyon hain?”