is jaankari ko chhod dein

kya aap apni sampatti ka dasvaan hissa daan karte hain?

kya aap apni sampatti ka dasvaan hissa daan karte hain?

nahin, yahova ke sakshi apni sampatti ka dasvaan hissa daan karne ki shiksha par nahin chalte. yah baat sahi hai ki hamara kaam daan par chalta hai aur jo log ye daan dete hain, unka naam gupt rakha jaata hai. lekin sampatti ka dasvaan hissa ya dashmaansh kya hai aur yahova ke sakshi ise kyon nahin maante?

purane zamane mein israeliyon ko ek kaanoon diya gaya tha jismein ek maang yah bhi thi ki har vyakti apni sampatti ka dasvaan hissa daan mein de. lekin bible yah saaf-saaf batati hai ki yah poora kaanoon jismein dasvein hisse ka niyam bhi shaamil tha aaj, maseehiyon par laagoo nahin hota.—ibraniyon 7:5, 18; kulussiyon 2:13, 14.

apni sampatti ka dasvaan hissa dene ke bajay yahova ke sakshi pehli sadi ke maseehiyon ki misal par chalte hain. poori duniya mein prachar kaam ke kharch ko poora karne ke liye woh do tareekon se sahyog dete hain. (1) woh dasvaan hissa dene ke niyam se nahin bandhe hote balki apni marzee se jitna chahein utna dete hain, (2) woh prachar kaam karne ke liye koi tanakhvah nahin lete.

is tarah hum bible mein maseehiyon ko diye is nirdeshan par chalte hain ki “har koi jaisa usne apne dil mein thaana hai, vaisa hi kare, na kudkudate huye, na hi kisi dabav mein, kyonki parmeshvar khushi-khushi denevalon se pyar karta hai.”—2 kurinthiyon 9:7.