is jaankari ko chhod dein

ek paadri ko apne savalon ke javab mile

ek paadri ko apne savalon ke javab mile

 elisa ek yahova ki sakshi hai. ek din woh ek aurat ka bible adhyan kara rahi thi ki tabhi achanak us aurat ke ghar kuch mehman aaye. darvaze par paadri aur uski patni thi. elisa jaanti thi ki kuch samay pehle unke bete ki maut hui thi. woh unka iklauta beta tha.

 jab elisa ne unse kaha ki unke bete ke baare mein sunkar use dukh hua, to woh zor-zor se rone lage. fir paadri ne gusse mein kaha, “parmeshvar ne yah sab kyon hone diya! usne mujhse mera beta kyon chheen liya? main 28 saalon se uski seva kar raha hoon, mainne uske liye kya-kuch nahin kiya aur usne mujhe yah sila diya! parmeshvar ne mere bete ko kyon maara?”

 elisa ne samjhaya ki parmeshvar ne uske bete ko unse nahin chheena. fir usne unhein firauti ke baare mein bataya aur bataya ki hamare apne jo ab nahin rahe, woh dobara zinda honge. usne yah bhi samjhaya ki parmeshvar buraiyon ko kyon hone de raha hai. paadri aur uski patni ne bataya ki elisa ne unke un savalon ke javab diye, jinke baare mein woh prarthna kar rahe the.

 fir agle hafte paadri aur uski patni dobara us aurat ke ghar aaye. us vakt elisa us aurat ke saath bible asal mein kya sikhati hai?  kitab se “maut ki nind so rahe aapke apnon ke liye sachchi aasha” adhyay se charcha kar rahi thi. paadri aur uski patni bhi adhyan ke dauran baithe rahe. woh bhi javab de rahe the.

 kuch samay baad woh yahova ke sakshiyon ke khaas adhiveshan mein gaye. yah georgia ke tiblisi shahar mein hua tha. vahaan sakshiyon ke beech pyar aur ekta dekhkar unhein bahot achha laga, kyonki woh saalon se yahi koshish kar rahe the ki apne church ke logon ke beech pyar aur ekta badha sakein, lekin woh naakam rahe.