is jaankari ko chhod dein

paadriyon ke bhadakne par bhi woh shaant rahe

paadriyon ke bhadakne par bhi woh shaant rahe

 artur aarmeeniya desh mein ek circuit nigran hain. jab woh vahaan ki ek mandli ka daura karne gaye, to unhein pata chala ki vahaan ke bhaai-behenon ne kabhi-bhi cart lagakar sareaam gavahi nahin di thi. bhaai chahte the ki woh bhi is tarah gavahi dein, isliye bhaai aur unki patni anna ne jirayr naam ke ek bhaai ke saath ek aisi jagah cart lagaya, jahaan bahot-se logon ka aana-jaana tha.

 dekhte-hi-dekhte bahot-se log cart ke paas aane lage aur hamare prakashan lene lage. lekin kuch hi samay baad kuch aise logon ki nazar bhi hamare cart par padi jinhein hamara kaam pasand nahin tha. do paadri hamare cart ke paas aaye aur bina kuch kahe unmein se ek ne hamare cart ko laat maari aur use gira diya. fir usne bhaai artur ko itni zor se thappad maara ki unka chashma zameen par jaa gira. bhaai artur, behen anna aur bhaai jirayr ne unhein shaant karne ki bahot koshish ki, lekin koi faayda nahin hua. woh paadri hamare cart par pair maarne lage aur use todne ki koshish karne lage. is vajah se hamare prakashan har taraf fail gaye. unhonne bhaaiyon aur behen anna ko gaaliyaan bhi di aur unhein dhamkiyaan dene lage. fir woh donon vahaan se chale gaye.

 yah sab hone ke baad bhaai artur, behen anna aur bhaai jirayr shikayat darz karvane ke liye police thaane gaye. vahaan unhonne bayan darz karvaya aur kuch policevalon aur thaane mein kaam karnevale doosre logon se bible ke baare mein kuch der baatcheet bhi ki. fir un teenon ko thaanedar ke paas le jaaya gaya. pehale to thaanedar bas yah jaanna chahta tha ki unke saath kya hua tha. woh dekh sakta tha ki bhaai artur bahot hatte-katte hain, par jab use pata chala ki unhonne paadriyon par haath nahin uthaya aur badla nahin liya, to use bada taajjub hua. tab usne poochhtachh karna band kar diya aur unse is baare mein baat karne laga ki yahova ke sakshi kya maante hain. unki baatcheet chalti rahi aur dekhte-hi-dekhte chaar ghante beet gaye! thaanedar ko yahova ke sakshiyon ke baare mein jaankar itna achha laga ki usne kaha, “tum logon ka dharm to kamaal ka hai! main bhi tum logon ke saath judna chahta hoon!”

Artur aur Anna

 agle din bhaai artur ne fir se usi jagah par cart lagaya. ek aadmi unke paas aaya aur unse kaha ki usne dekha tha ki paadriyon ne unke saath kya kiya tha. fir usne bhaai ki taareef ki ki itna sabkuch hone ke baad bhi woh shaant rahe aur unhonne badla nahin liya. us aadmi ne yah bhi kaha ki pehale woh un paadriyon ki bahot izzat karta tha, lekin ab usne unka asli roop dekh liya hai.

 shaam ko thaanedar ne vaapas bhaai artur ko thaane bulaya. lekin poochhtachh karne ke bajay usne bhaai se kaha ki woh unhein bible ke baare mein aur batayen. fir do aur policevale aa gaye aur unki baatein sunnae lagein.

 agle din bhaai artur fir se thaanedar se milne gaye aur is baar unhonne use hamare kuch video dikhaye. fir thaanedar ne doosre policevalon ko bhi video dekhne ke liye bula liya.

 un paadriyon ne to bahot bura vyavhar kiya, lekin is vajah se bahot-se policevale yahova aur bible ke baare mein jaan paaye. aur woh dekh paaye ki yahova ke sakshi kitne achhe log hain.