bhajan 91:1-16

  • parmeshvar ki gupt jagah mein hifazat

    • baheliye se bachaye gaye (3)

    • parmeshvar ke pankhon tale panah (4)

    • hazar gireinge par tu salamat rahega (7)

    • swargdooton ko hifazat karne ka hukm (11)

91  jo koi param-pradhan ki gupt jagah mein nivas karta hai,+woh sarvashaktiman ke saaye mein basera karega.+   main yahova se kahoonga, “tu meri panah aur mera mazboot gadh hai,+mera parmeshvar jis par main bharosa karta hoon.”+   woh tujhe baheliye ke fande se,jaanleva mahamari se bachayega.   woh apne dainon se tujhe dhaanp lega*aur uske pankhon tale tu panah lega.+ uski vafadari+ ek badi dhaal+ aur suraksha-deevar thehregi.   tujhe raat ka khauf nahin satayega,+na hi tu din mein chalnevale teeron se ghabrayega,+   na to tujhe andhere mein peechha karnevali mahamari ka dar hoga,na hi din-dopahri honevali tabahi ka dar hoga.   tere ek taraf hazar log dher ho jaayengeaur daayin taraf das hazar gir padeingemagar koi khatra tere paas tak nahin fatkega.+   tu sirf apni aankhon se yah sab dekhega,dushton ko saza paate dekhega.   toone kaha hai, “yahova meri panah hai,” toone param-pradhan ko apna nivas* banaya hai,+ 10  isliye tujh par koi sankat nahin aayega,+koi kehar tere tamboo ke paas tak nahin fatkega. 11  kyonki parmeshvar tere baare mein apne swargdooton+ ko hukm degaki teri sab raahon mein woh teri hifazat karein.+ 12  woh tujhe haathon-haath utha leinge+taaki tera pair kisi patthar se chot na khaaye.+ 13  tu sher aur naag ko kuchal dega,javan sher aur bade saanp ko pairon se raund daalega.+ 14  parmeshvar ne kaha hai, “woh mujhse gehra lagav rakhta hai,* isliye main use bachaunga.+ main uski raksha karoonga kyonki woh mera naam jaanta hai.*+ 15  woh mujhe pukarega aur main use javab doonga.+ main sankat ke samay uske saath rahoonga.+ main use bachaunga aur samman dilaunga. 16  main use lambee umra dekar santusht karoonga,+use uddhaar karne ki apni shakti dikhaunga.”+

kai footnote

ya “tere paas aane ka raasta rok dega.”
ya shaayad, “kila; panah.”
shaa., “jud gaya hai.”
ya “naam kabool karta hai.”