yakub ki chitthi 2:1-26

  • bhedbhav karna paap hai (1-13)

    • pyar ek shaahi niyam hai (8)

  • kaamon ke bina vishvas mara hua hai (14-26)

    • dusht swargdoot maante aur thar-thar kaanpte hain (19)

    • abraham yahova ka dost kehlaya (23)

2  mere bhaaiyo, kya tum hamare mahimavan prabhu yeeshu maseeh par vishvas karne ke saath-saath bhedbhav bhi kar rahe ho?+  agar koi insan tumhari sabha mein sone ki angoothiyaan aur shaandar kapde pehankar aata hai aur ek gareeb maile-kuchaile kapdon mein aata hai,  to tum shaandar kapde pehannevale ko to izzat dete ho aur usse kehte ho, “is badhiya jagah par baith.” magar gareeb se kehte ho, “tu khada reh,” ya “yahaan zameen par mere paanvon ki chauki ke paas baith.”+  is tarah kya tumhare beech unch-neech ka bhedbhav nahin hai+ aur kya tum aise nyayi nahin thaharte jo bure irade se faisle karte hain?+  mere pyare bhaaiyo, suno. kya parmeshvar ne aise logon ko nahin chuna jo duniya ki nazar mein gareeb hain taaki woh vishvas mein dhani banein+ aur us raaj ke vaaris hon, jiska vaada usne un logon se kiya hai jo usse pyar karte hain?+  lekin tumne gareebon ko beizzat kiya hai. kya ameer tum par atyachar nahin karte+ aur tumhein ghaseetkar adalaton mein nahin le jaate?  kya woh us badhiya naam ki ninda nahin karte jisse tum bulaye gaye ho?  agar tum shastra ke mutabik is shaahi niyam ko maante ho: “tum apne padosi se vaise hi pyar karna jaise tum khud se karte ho,”+ to tum bahot achha kaam kar rahe ho.  lekin agar tum bhedbhav karna nahin chhodte+ to tum paap kar rahe ho aur yah niyam tumhein gunahgar thehrata hai.+ 10  agar koi moosa ke poore kaanoon ka paalan karta hai magar ek aagya tod deta hai, to woh poore kaanoon ko todne ka kasoorvar thaharta hai.+ 11  kyonki jis parmeshvar ne yah kaha, “tum vyabhichar* na karna,”+ usne yah bhi kaha, “tum khoon na karna.”+ isliye agar tum vyabhichar nahin karte magar khoon karte ho, to tum kaanoon ko todne ke gunahgar ho. 12  tum hamesha un logon ki tarah bolo aur un logon ki tarah pesh aao jinka nyay aazad logon ke kaanoon* ke mutabik honevala hai.+ 13  kyonki jo daya nahin karta uska nyay bhi bina daya ke hoga.+ daya, saza par jeet haasil karti hai. 14  mere bhaaiyo, agar koi kahe ki mujhe vishvas hai lekin woh vishvas ke mutabik kaam nahin karta, to iska kya faayda?+ kya aisa vishvas use uddhaar dila sakta hai?+ 15  agar kisi bhaai ya behen ke paas kapde na hon aur do vakt ki roti bhi na ho 16  aur tummein se koi usse kahe, “salamat raho, tujhe khaane-pehnne ki koi kami na ho.” magar tum use kapda aur roti na do to iska kya faayda?+ 17  usi tarah sirf vishvas hona kaafi nahin, vishvas kaamon ke bina mara hua hai.+ 18  magar shaayad koi kahe, “tum vishvas karte ho, magar main kaam karta hoon. tu apna vishvas bina kaam ke dikha aur main apna vishvas apne kaamon se dikhaunga.” 19  kya tu maanta hai ki parmeshvar ek hi hai? tu bahot achha karta hai. dusht swargdoot bhi yahi maante hain aur thar-thar kaanpte hain.+ 20  lekin hey khokhle insan, kya tu is baat ko nahin maanna chahta ki kaamon ke bina vishvas bekar hai? 21  kya hamara pita abraham bhi apne kaamon ki vajah se nek nahin thehraya gaya tha kyonki usne apne bete ishaak ko vedi par chadhaya tha?+ 22  tum dekh sakte ho ki usne vishvas karne ke saath-saath kaam bhi kiya aur uske kaamon ne uske vishvas ko paripoorna kiya+ 23  aur shastra ki yah baat poori hui, “abraham ne yahova* par vishvas kiya aur is vajah se use nek samjha gaya”+ aur woh “yahova* ka dost” kehlaya.+ 24  to jaisa tumne dekha, ek insan sirf vishvas se nahin balki kaamon se nek thehraya jaata hai. 25  isi tarah, kya raahab naam ki veshya kaamon se nek nahin maani gayi kyonki usne dooton ko apne ghar mein thehraya aur fir unhein doosre raaste se bhej diya?+ 26  vaakai, jaise jaan* ke bina shareer murda hota hai,+ vaise hi kaamon ke bina vishvas mara hua hai.+

kai footnote

shabdavli dekhein.
shaa., “aazadi ke kaanoon.”
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
ya “saans.”